Ab haq meiN bahaaroN ke sabaa hai ke nahiiN hai

ab haq meiN bahaaroN ke sabaa hai ke nahiiN hai
phuuloN pe wo pahlii si hawaa ke nahiiN hai

khushbuu ki shahadat bhi baRii cheez hai lekin
??? teraa naqsh-e-kaf-e-paa hai ke nahiiN hai

wo partab-e-ruKh apnaa hataa leiN tau dikhaa duuN
ke in chaaNd sitaaroN mein ziyaa hai ke nahiiN hai

ye soch ke ?? naqiiboN ko pukaaro
raat apne charaGhoN ko hawaa hai ke nahiiN hai

ye kaun Khabar laaye ke Gulshan meiN mere baad
wo rasm-o-rahe ?? hai ke nahiiN hai

jis Gham ke liye tuune kiyaa, tark-e-ta'alluq
wo Gham tujhe pehle se sivaa hai ke nahiiN hai

daulat meiN sukuuuN, husn meiN eesaar ka jazbah
sau baar tujhe keh tau diyaa, hai ke nahiiN hai

maiKhaana khule yaa na khule sirf ye dekho
sheeshon ke khanakhne ki sadaa hai ke nahiiN hai

ye tau ko'ii Mansoor bataaye tau bataaye
ke suulii pe taRapne meiN mazaa hai ke nahiiN hai

aa jaaoge Haalat ki zadd per jo kisi din
ho jaayega maaloom Khudaa hai ke nahiiN hai

khaamosh haiN lekin ye Khabar sabko hai Danish
wo dushman-e-ehbaab-e-wafaa hai ke nahiiN hai

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.