Agar talaash karun koi mil hi jayega

Agar talaash karun koi mil hi jayega
Magar tumhari tarah kaun mujhko chahega

Tumhen zaroor koi chahaton se dekhega
Magar wo aankhen hamaari kahan se layega

Na jane kab tire dil par nayi si dastak ho
Makaan khali hua hai to koi ayega

Main apni raah mein deewar ban key baitha hun
Agar wo aaya to kis raaste se ayega

Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare baad ye mausam bahut sataayega

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.