ghazal 15

un k ek jan-nisar ham bhi hain
hain jahan sau-hazar ham bhi hain


tum bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho beqarar ham bhi hain


ai falaq kah to kya irada hai
aish k khvastagar ham bhi hain


shahar khali kiye dukan kaisi
ek hi vada-khvar ham bhi hain


sharm samajhe tere tagaful ko
vah! kya hoshiyar ham bhi hain


tum agar apni khu k ho mashuq
apne matlab k yar ham bhi hain


jis ne chaha phansa liya hamko
dil-baron k shikar ham bhi hain


kaun sa dil hai jis main dag nahin
ishq ki yadgar ham bhi hain

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.