Naama gaya koi na koi naama'bar gaya

Naama gaya koi na koi naama'bar gaya
teri Khabar na aaii zamaana guzar gaya

Hansta hun yun ki hijr ki raaten guzar gain
rota hun yun ki lutf e duaa e sahar gaya

Ab mujh ko hai qarar to sab ko qarar hai
dil kya Thahar gaya ki zamaana guzar gaya

Ya Rab nahi main waqif e rudad e zindagi
itana hi yaad hai ki jiya aur mar gaya

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.