Aashiqii be-dilii se mushkil hai

aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaaii usii se mushkil hai

ek do duusare se sahel na jaan
har koii har kisii se mushkil hai

[sahel=approachable]

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.