Ek Ajeeb Din

Aaj saare din bahar ghoomta raha
aur koi durghatana nahin huyi
aaj saare din logon se milta raha
aur kahin apmaanit nahin hua
aaj saare din sach bolta raha
aur kisi ne bura nahin maana
aaj sabka yakeen kiya aur kahin dhokha nahin khaaya
aur sabse bada chamatkar to yeh
ki ghar lautkar maine kisi aur ko nahin
apne ko hi lauta hua paaya.

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.