Iss dil ka kabhi rang badalte naheen dekha

Iss dil ka kabhi rang badalte naheen dekha
hum ne ye chaman phoolte phalte naheen dekha

kehte hain woh sun sun ke bayaan soz-e-jigar ka
hum ne kui iss aag mein jalte naheen dekha

maut aati hui jaan bhi jaati hui dekhi
hasrat ko magar dil se nikalte naheen dekha

har husn mein ye naaz baraste naheen dekhe
har naaz mein yoon husn ubalte naheen dekha

jaadoo teri baaton mein hai aankhon mein hai afsoon
lekin kabhi kuch ghair pe chalte naheen dekha

tadbeer bhi ban ban ke bigaR jaati hai bekhud
bigRi hui qismat ko sanbhalte naheen dekha

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.