Jinse Ham Chhoot Gaye

Jinse ham chhooT gaye, ab vo jahaaN kaise haiN?
shaaKh-e-gul kaisii hai? Khushboo ke makaaN kaise haiN?

ai sabaa ! too to udhar hii se guzartii hogii
us galii meN mere pairoN ke nishaaN kaise haiN?

pattharoN vaale vo insaan, vo behis dar-o-baam
vo makiiN kaise haiN? shiishe ke makaaN kaise haiN?

kahiiN shabnam ke shigoofe, kahiiN aNgaaroN ke phool
aa ke dekho merii yaadoN ke jahaaN, kaise haiN

le ke ghar se jo nikalte they junooN kii mash'al
is zamaane meN vo saahib-e-nazaraaN kaise haiN?

yaad unkii hameN jiine bhii na degii ''Raahii''
dushman-e-jaaN vo masiihanafsaaN kaise haiN?

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.