Khuda ham ko aise khudai na de

Khuda ham ko aise khudai na de
Ki apne siva kuchh dikhai na de

Khatawaar samjhegi duniya tujhe
Ab itni ziyada safai na de

Hanso aaj itna ki is shor mein
Sada siskiyon ki sunai na de

Ghulami ko barkat samajhne lagen
Aseeron ko aisi rihai na de

Khuda aise ahsaas ka naam hay
Rahe samne aur dikhai na de

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.