Koi kanta chubha nahin hota

Koi kanta chubha nahin hota
Dil agar phool sa nahin hota

Kuchh to majbooriyan rahi hongi
Yun koi bewafa nahin hota

Guftgu un se roz hoti hai
Muddaton samna nahin hota

Jee bahut chaahta hay sach bolen
Kya karen hausla nahin hota

Raat ka intezar kaun kare
Ajkal din mein kya nahin hota

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.