Naye Kapre Badal Kar Jaun
naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye
jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye
ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye
muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main 'Nasir' ab shamma jalaun kis k liye
Reviews
No reviews yet.