Parao aae kaee aik ghar nahi aaya

parao aae kaee aik ghar nahi aaya
ke ras ab ke bhi ham ko safar nahi aaya
kiya tha khalq ajab aasman aankhon ne
kahan ka chand , setarah nazar nahi aaya
jo aik bar gaya sabz paniyon ki taraf
suna gaya hai kabhi loot kar nahi aaya
cheragh jalte hawaon ki sarparasti me
hamare logo ! tumhen ye hunar nahi aaya
bhula ke tujh ko khajal hote aur kiya hota
bhala huaa ke duaa me asar nahi aaya

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.