Saathi haath baRhaanaa

Sathi haath baRhaanaa, saathi haath baRhaanaa
ek akela thak jaayega, mil kar bojh uThaanaa
saathi haath baRhaanaa…

ham mehnatvaaloN ne jab bhi milkar qadam baDhaayaa
saagar ne rastaa chhoRaa, parbat ne sheesh jhukaayaa
faulaadii haiN seene apne, faulaadii haiN baaheiN
ham chaaheiN to paida kardeiN, chaTTaanoN meiN raaheiN
saathi haath baRhaanaa….

mehnat apnii lekh kii rekhaa mehnat se kyaa Darnaa
kal GhairoN ki Khaatir ki ab apnii Khaatir karnaa
apnaa dukh bhi ek hai saathi apna sukh bhi ek
apni manzil sach ki manzil apna rastaa nek
saathii haath baRhaanaa….

ek se ek mile to katraa ban jaataa hai dariyaa
ek se ek mile to zarraa ban jaataa hai sehraa
ek se ek mile to raaii ban saktii hai parbat
ek se ek mile to insaaN bas meiN kar le qismat
saathi haath baRhaanaa …

maaTii se ham laal nikaaleiN, moti laayeiN jal se
jo kuchh is duniyaa meiN banaa hai banaa hamaare bal se
kab tak mehnat ke pairoN meiN ye dault ki zanjeereiN
haath baRhaakar chheen lo apne sapnoN ki tasveereN

saathi haath baRhaanaa….

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.