Sab aane waale bahla kar chale gaye

Sab aane waale bahla kar chale gaye
Aankhon par sheesheychamkakar chalegaye

Malbe key neeche aakar maaloom hua
Sab kaise deewar girakar chale gaye

Log kabhi lautenge raakh batorenge
Jangal mein jo aag lagaakar chale gaye

Mein tha din tha aur eklamba raasta thaa
Sab kheme jab log utha kar chale gaye

Chattanon par aakar thahre do raaste
Phir aage ek raah banaakar chale gaye

Barf mein rakkhi thandi botal chipak gayi
Khauf dilon mein log dabaakar chale gaye

Jab do naali ne rukh phera sab ghaazi
Apne apne haath utha kar chale gaye

Jaane kab dongon mein mahkenge taare
Kitne sooraj haath dhulakar chale gay

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.