Shab tum jo bazm-e-Gair me.n aa.Nkhe.n churaa gaye

shab tum jo bazm-e-Gair me.n aa.Nkhe.n churaa gaye
khoye gaye ham aise ke aGyaar paa gaye

majalis me.n us ne paan diyaa apane haath se
aGyaar sabz baKht the ham zahar khaa gaye

Gairo.n se ho vo pardaanashii.n kyo.n na behijaab
dam haay be-asar mere pardaa uThaa gaye

vaaiz ke zikr-e-mehar-e-qayaamat ko kyaa kahuu.N
aalam shab-e-vasl ke aa.Nkho.n me.n chhaa gaye

duniyaa hii se gayaa mai.n jo nahii.n naaz se kahaa
ab bhii gumaan-e-bad na gaye tere yaa gaye

ai 'Momin' aap kab se hue ba.ndaa-e-butaa.N
baare hamaare ??? me.n hazarat bhii aa gaye

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.