Takraa hii gaii merii nazar un kii nazar se

Takraa hii gaii merii nazar un kii nazar se
dhonaa hii parDaa haath mujhe qalb-o-jigar se

izhaar-e-mohabbat na kiyaa bas isii Dar se
aisaa naa ho gir jaa uun kahiin un kii nazar se

ai zauq-e-talab josh-e-junuun ye to bataa de
jaanaa hai kahaaN aur ham aaye hain kidhar se

'Fayyaz' ab aayaa hai junuun josh pe apnaa
haNstaa hai zamaanaa main guzartaa huun jidhar se

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.