Skip to main content
Author

Deedae ashk baar hay apna
aur dill be-qarar hay apna

rashke sehra hay ghar ki weerani
yehi range bahaar hay apna

chachme gariya sey, chaak damaa.n sey
haal sab ashkaar hay apna

haao-o ho mainhar aik khoya hay
koun yaan ghum-gusaar hay apna

baz sey un ki jab sey nikla hay
dill gareeb-ul dayaar hay apna

hum ko hasti raqeeb ki manzoor
phool k saath khaar hay apna

hay yehi rasme meh kadah shaid
nashsha un ka, khumaar hay apna

jeet k khwaab dekhtey jao
ye dille bad-qumaar hay apna

kiya ghalat sochtey hain Meera Jee
shair kehna shia'aar hay apna

Rate this poem
No votes yet