Dua-e-siyah Ghazal

Yeh dua hai tujhse mere khuda,meri khak itni ujaal de
Ke agar ana ki ramaq bhi ho,mere jism-o-jaan se nikaal de
Meri baat kya,meri zaat kya,yeh nafs hai kya yeh hayaat kya
Yeh toh mushte-khaak hai jab talak,tera aks isme na daal de
Mujhe ijazz deke badha bana,tera khauf deke khara bana
Woh mizaaj mujh ko bhi kar ata,ke faqeeri jiski misaal de
Tera zikr mera libaas ho,tu hamesha mere hi paas ho
Na toh koi aur hi sonch de,na toh aur koi khayal de
Mein toh ek banda pur qatah,meri larzishon ka shumaar kya
Ke khadam jamake rahun khada,koi aisa mujh me kamaal de
Kabhi itna soz-e-daroon badha,kabhi itna josh-e-junoon badha
Ke tujhi se tujhko hi maang loon,woh talb woh zarf sawaal de
Tera kabse TALIB-e-deed hoon,tera shiftah bhi shadeed hoon
Ke umeed war-e-navee hoon,mujhe khaali haath na tal de

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.