Iblees Ka Atiraaf

Tune Jis Waqt Yeh Insaan Banaya Ya RAB
Us Ghari Mujhko Tu Aik Aankh Na Bhaya Ya RAB
Is Liye MaiN Ne Sar Apna Na Jhukaya Ya RAB
Lekin Ab Palti Hai Kuch Aisi Hi Kaaya Ya RAB

Haq'mandi Hai Is Hi MaiN K Ab Tobah Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Ibtida'an Thi Bari Narm Tabiyaat Iski
Qalb'o Jaan Pak The, Shafaaf Thi Sirat Iski
Phir Ba'tadreej Badalne Lagi Khaslat Iski
Ab Tu Khud Mujh Pay Musallat Hai Shararat Iski

Is Se Pehle K MaiN Apna Hi Tamasha Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Bhar Diya Tu Ne Bhala Kon Sa Fitna Is MaiN?
Pakta Rehta Hai Hamesha Koi Laava Is MaiN
Aik, Aik Saans Hai Ab Surat'e Shoula Is MaiN
Aag Mujood Thi Kya Mujh Se Bhi Zyada Is MaiN?

Apna Aatish Kadah'e Zaat Hi Thanda Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Ab Tou Yeh KhooN K Bhi RishtooN Se Akar Jata Hai
Baap Se, Bhai Se, Bete Se Bhi Lar Jata Hai
Jab Kabhi Taish MaiN Hat'te Se Ukhar Jata Hai
Tu Mere Shar Ka Tawazun Bhi Bigar Jata Hai

Ab Tu Laazim Hai MaiN Khud Ko Hi Seedha Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Ab Jhijhakta Hai, Na Darta Hai, Na Sharmata Hai
Nit Nayi Fitna'gari Roz Hi Dikhlata Hai
Ab Yeh Zaalim Mere Behkaawe MaiN Kab Aata Hai
MaiN Bura Sochta Rehta HooN Yeh Kar Jata Hai

Kya Abhi Is Ki Mureedi Ka Irada Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Ab Jagah Koi Nahi Mere Liye Dharti Per
Mere Shar Se Bhi Siwa Hai YahaN Insaan Ka Shar
Ab Tu Lagta Hai Yehi Faisla Mujh Ko Behter
Is Se Pehle K WahaN Puhanch Jaye Super Power

Main Kisi Aur Siyaare Pe Qabza Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Zulm K Daam Bichaye Hai Niraale Is Ne
Nit Naye Pech Aqaid MaiN Bhi Daale Is Ne
Kar Diye Qaid AndheeroN Main Ujaale Is Ne
Kaam Jitne The Mere Saare Sambhale Is Ne

Ab Tu Khud Ko Main Har Aik Boojh Se Halka Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Istiqamat Thi Kabhi Is Ki Musibat Mujh Ko
Apne Dhap Per Isay Lana Tha Qayamat Mujh Ko
Karni Parti Thi Bari Is Pe Mashakkat Mujh Ko
Ab Yeh Aalam Hai K Din Raat Hai Fursat Mujhko

Ab KahiN Gosha Nashini MaiN Guzara Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Mast Tha MaiN Tere InsaaN Ki Hiqarat Kar K
Khud Pe NadaaN Tha Buhat Tujhse Baghawat Kar K
Kya Mila Mujh Ko Magar Aisi Himakat Kar K
Kya Yeh Mumkin Hai K Phir Teri Ita'at Kar K

Apne Khoye Huwe Rutbe Ki Tamanna Kar LooN
Sochta HooN K Ab Insaan Ko Sajda Kar LooN

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.