Patjhar

wo din bhi ane wala hai
jab teri in kali ankhon main
har jazba mit jayega
tere bal jinhen dekhen to
sawan ki ghanaghor ghatayen
ankhon main lahrati hain

honth rasile
dhyan main lakhon phulon ki
mahkar jagayen
wo din dur nahin jab in par
patjhar ki rut cha jayegi

aur us patjhar k mausam ki
kisi aekli sham ki chup main
gaye dinon ki yad ayegi
jaise koi kisi jangal main
git suhane gata hai

tujh ko pas bulata hai

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.