Raat kii pii.Daa

raat behad chup hai
aur us kaa andheraa surmagii.n
shaam pa.Date hii damakate the jo rango.n ke nagii.n
duur tak bhii ab kahii.n
us kaa nishaa.N milataa nahii.n

ab to ba.Dhataa aayegaa
ghanghor baadal chaah kaa
us me.n bahatii aayegii
ek madbharii miiThii sadaa
dil ke suune shahar me.n guu.Njegaa naGmaa chaah kaa

raat ke parde me.n chhup kar Khuu.N rulaatii chaahato
is qadar kyo.n duur ho
mujh se zaraa ye to kaho
mere paas aakar kabhii merii kahaanii bhii suno
siskiyaa.N letii havaaye.n kah rahiihai.n - 'chup raho'

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.