SaaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii

SaaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii
sahan-e-chaman me.n aake bahut Khush hai zindagii

[saaGar = wine-glass]

aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man
tum ko qariib paake bahut Khush hai zindagii

hotaa koii mahal bhii to kyaa puuchhate ho phir
be-vajah muskuraa ke bahut Khush hai zindagii

[mahal = opportunity or often (it has two meanings)]

saahil pe bhii to itanii shagufataa ravish na thii
tuufaa.N ke biich aake bahut Khush hai zindagii

[saahil = shore; shagufataa = fresh]

viiraan dil hai aur 'Adam' zindagii kaa raqs
jangal me.n ghar banaake bahut Khush hai zindagii

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.