Tum Gaye Saari Mehfil Ujar Jaye Gi

Tum Gaye Saari Mehfil Ujar Jaye Gi Log Saray Ke Saray Chalay Jayen Ge
Hum Muhabbat Ke Maaron Ka Dar Hai Ager Hum Muhabbat Ke Maray Chalay Jayen Ge

Pyaas Dil Ke Naseebon Main Hai To Rahay Pyaas ka Aur Paani Ka Rishta To Hai
Koi Shikwa Hai Lehron Ko Hum Se Ager Hum Kinaray Kinaray Chalay Jayen Ge

Qarz Tum Ham ko Chaahat Ka Do Ya Na Do Hum To Apni Muhabbat Ke Maqrooz Hain
Tum Palat Ke Pukaro Na Hum Ko Magar Hum Tumhi Ko Pukaray Chalay Jayen Ge

Kesi Dunya Main Aakay Basera Kia Mil Ke Jis Main to Hona Hai Sab Ko Juda
Teray Pyaray Bhi Sary Chalay Jayen Ge Meray Pyaray Bhi Saray Chalay Jayen Ge

Raat Thehro Zara Raat Thehro Abhi Do Ghari Aur Andhera Zara Rok Lo
Dhoondna Hai Muqaddar Ka Taara Humain Din Hua To Sitaaray Chalay Jayen Ge

Tum Na Aao To Kia Bhool Jao To Kia Hum Ko Jitna Bhi Jeena Hai Jeena To Hai
Dosti Jo Nahi Zindagi He Sahi Zindagi He Guzaray Chalay Jayen Ge

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.