YahaaN kisii ko koii vaastaa kissi se nahiiN

yah soch kar maiN rukaa thaa ki aasmaaN hai yahaaN
zamiiN bhii paaoN ke niiche, so ab dhuvaaN hai yahaaN

na koii Khwaab na Khwaahish, na Gam na Khushii
voh be-hisii hai ki har shaKhs raaigaaN hai yahaaN

yahaaN kisii ko koii vaastaa kissi se nahiiN
kisii ke baare meN kuchh sochnaa ziyaaN hai yahaaN

uThaaye phirte haiN diivar-e-giryaa pusht pe log
nafs nafs meN ajab mahshar-e-fuGaaN hai yahaaN

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.